Tuesday, March 29, 2011

Tuesday, March 17, 2009

Monday, December 29, 2008

Happy new year!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



I wish a very happy new year to all the soul mate love and wish that all their dream come true with this coming year. I wish this coming year brings a lots happiness to all those who are in love. I wish all those who are in love get along with each other for their rest of life without any difficulties and sorrows. I wish all those who are in love get their destiny with coming year. I want this coming year to be the most amazing and memorable year for all those who are in love and want to be together forever and ever and ever..... All my heartily wishes are with those who are in true love with each other so that they get have blossom in their love. I would be the happiest person in the whole world if all those who love each other truly get along with each other for their rest of life and lead a most beautiful life they ever thought of.

Monday, December 22, 2008

Sacha pyar kya hai??????????

Saccha pyar kya hai?
Kya pyar Jeene Ki wajah hota hai?
Kya pyar ka matlab milna hota hai ya phir bichadna hota hai?
Kya pyar khushi hai?
Kya pyar gum hai?
Kya pyar hi sab kuchh hai?

Yeh saare sawaal kitne uljhe hue lagte hai…. Kya kabhi aapne gaur Kiya hai ke pyar kya hota hai… Aaj kal jise pucho Har koi Yeh hi kehta main pyar Karta Hun aur meri girl friend hai and mera boy friend hai… kya Aaj pyar itna sasta ho Gaya hai Ki Hume Itni asaani se mil jata hai... Kabhi kabhi toh aisa lagta hai jaise pyar Har Gali Ki nukad par milta hai, Aaj kal koi Saccha pyar Karta bhi hai ya Nahin… kyunki pyar toh Woh hai jise Hume kabhi koi taklif Nahin hoti... Kyunki pyar toh Woh hai Jo humare saath Na Hote hue bhi humare saath rehta hai... Kyunki pyar Toh Woh hai jis ke bare main sochte hi humare chehre pe muskurahat aaye... Kyunki pyar Toh Woh hai Jo hum pe pura bharosa Karta ho... Kyunki pyar Toh Woh hai Jo Yeh ehsaas dilate hai jaise koi hai Jo umra bhar saath nibhayega… kyunki pyar ka matlab sirf paana Nahin khona bhi hai... Kyunki pyar Toh Woh hai Jo jism se Hokar aatma me bas jaata hai…Aur kyunki Ab main pyar ke bare mein jitna bhi kahungi Woh kam hi hoga. Aur Ab mujhe Yeh lagta hai Ki shayad tumhe Yeh pata chal Gaya hoga Ki pyar kya hai.

Doston pyar KO khel mat samjho iski gehrayi KO samjho tab tumhe pata chalege agar sacche pyar ka saath ho toh Zindagi Kitni hassen hoti hai. Har mushkil asaani se Tal jati hai. Pyar khuda ka Woh hassen tofa hai Jo Har kisiko Nahin milta. Log saari umra sacche pyar ke liye tadapte par Yeh tofa sirf kismat walon KO milta hai. Isliye kehti hun agar tumhare zindagi main sacche pyar ka saath ho toh uski izzat karo aur is Kadar sambhal kar rakhna ke Kisi bhi Chingari se is par koi aanch Na aa paye. Sabse khaas baat jahan bhi sacha pyar hota hai wahan pe kabhi “dhoka” jaise shabd Nahin hote kyunki. Sacha saathi aur sacha pyar Hume kabhi bhi dhoka Nahin dete, woh humse Isliye dur chale jaate kyunki unhe lagta hai Ki issi main hi humari aur sab Ki bhalayi hai.

Kehte hai ki pyar ko paane ke liye bahut saari mushkillo ka samna karma padta hai, har tarah ki baatein har kisise sunni padti hai… par agar hum humare pyar ko paane main kaamyab ho jate hai toh is se badkar koi khushi Nahin hoti. Aur Agar humare pyar ko sab ki razamandi nahin milti hai toh hume us pyar ko anjaam Nahin dena Chahiye, kyunki dusro ka dil Todkar bhala hum kaise khush reh sakte hai. Log maante hai ki pyar hi sab kuch hota hai par main is baat se bilkul bhi sehmat Nahin hun kyunki pyar sab kuchh Nahin hota hai woh sirf humare zindagi ka ek hissa hota hai. Ek rishtey ko nibhane ke liye, ek vaade ke liye… hum baaki saare rishtey or baaki saare vaado ko kaise bhul sakte hai. Who pyar hum kaise bhul sakte hai jiski wajah se hume yeh pyar mila, yeh zindagi mili, kyunki agar unhone yeh zindagi hume Nahin di hoti toh hum is pyar ko kaise paate. Doston Pyar karo toh sacha karo warna mat karo par aisa bhi mat karo ki tum tumhare apno ko hi taklif do. Pyar aisa karo jise har koi khush ho. Aur agar kisi bhi mod par bichadna bhi pade toh has kar vidah ho… aur yeh sochkar vidah ho ki yeh mera dharma hai aur mujhe nibhana hai…“Ek vivah aisa bhi” ka ek gaana jo aapko is mod par heemat de -
“maang raha hai pyar vidayee,
Haske vidah ho sanam,
Dono nibhaye apna dharma, dono nibhaye apna dharma…”